Tuesday, March 28, 2006

Doob jaane ka darr hai..

Zindagi ke is moad pe
hum sab se door hain
kise aapna kahen
paas aayen ke na aayen
kya karen dil ye bebas hai..

Aye tanhai gale laga le
doob jaane ka darr hai

Nazarein ghuma kar dekho
itne chehre haseen hain
dil ye dhadakta to hai
par kise dein ke na dein
toot jaane ka darr hai..

Aye tanhai gale laga le
doob jaane ka darr hai

Rehte the gumsum
socha koi to ho humdum
jo samajh sake hume
kaash ye samajh baazar mein milti
jo milta nahi dhundne par hai..

Aye tanhai gale laga le
doob jaane ka darr hai

kabhi main sochun
ke itna na sochun
sochne se kya haasil hai
zindagi to fir bhi chalti hai
khwahishein to ab bhi buland hai

Aye tanhai mere itne bhi karib na aa
Ab to ye dil kahe doob jaana he behtar hai

15 comments:

Shashank said...

Wah miya wah! Kya likha hai!

Silent Screamer said...

main bhi shayar! haha ;)

Anonymous said...

Wonderfully written :D Bohat achey sachie muchie...bohat achey ....

Silent Screamer said...

Sana.. Sachie Muchie? :-)

Shashank said...

:-) :-) :-)
:-) :-) :-)
:-) :-) :-)

Anonymous said...

sahi hai boss.... keep it up !!

Silent Screamer said...

Thanks ananta :)

@Shanky
Ek smile kafi tha na? :)

stellar said...

wah wah..mashaallah..subhaanallah..kya likha hai aapne..bhut hi uumda..hame nahi maaloom tha ki aap shayar bhi hai??

Silent Screamer said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Silent Screamer said...

@Stellar
Shayar to sabhi hote hain.. har kisi ko usey pehchanna padta hai.
Ittefaq ki baat to ye hai ke chingaari lagane wale he puchte hain ke aag lagayi kisne?

stellar said...

hmm to chingaari kisne lagayi..humne..to theek hi kiya..nahi to kaise pata chalta ki aap likhte bhi hai..zarranawazi ka shukriya..

Silent Screamer said...

But truely I was inspired by you.. you write too good :)

How do we know said...

So, this is the first shayari attempt.. its damn neat!
You might like this Ghalib sher to describe yourself: (Miyaan ghalib will mind very much, but like, who cares!):
Yun to zamaane mein hain sukhanvar bahut achche,
Magar sunte hain ki Ghalib ka hai andaz-e-bayaan aur!

Silent Screamer said...

haha.. lol
I have noted it.. next time if anybody asks me then that will be the answer ;-)

AK said...

hey i jst came across ur first shayari attempt. too gud hai . i m amazed tumne pehle try nahi kiya.